Noha (Hazrat Fatima Zahra s.a) Mara Hai Fatima Ko Sab Ny Rula Rula Kar Zahra Ka dar Jala kar Zahra Py dar Gira Kar 1) Turbat sy Fatima ki Aati Yehe Sada Hai Pahlu sy Hath Mera ab Tak Nahi Hata Hai Mehdi Mujhy Sambhalo Gaibat sy Jald a Kar 2) Darbar sy Zaeefa Ghar ki Taraf Chali Hai Allah hi Janta Hai Kitni Dafa Giri Hai Laye Hain Apny Ghar Tak Hassnain K hud Utha Kar 3) Zalim Ka Taziyana Jis Hath Par Laga Hai Wo Hath Fatima Ka Uth hi Nahi Raha Hai Parhti Hain ab Nimazain ik Hath hi Utha Kar 4) Pahlu main dard itna hai k tarap rahi hai Chalna b ab hai mushkil uth uth k gir Rahi Hai Chalti hai aik Shana deewar sy laga Kar 5) Kah k yateem khud ko Shabeer jab k roye Do hath Fatima k bandhy kafan sy nikly Seeny py roi apny Shabeer ko sula Kar 6) Manzar bara kathin tha jis Dam laga tamacha Sir bint e Mustafa Ka deewar sy laga tha Moo peet,ty thy Haider ankhon sy khon baha Kar 7) Hilny laga nabi Ka us dam mazaar aasi Zahra lehad py aa kar ro ro k jab pukari Chah...
بسمِ اللہِ الرَّحمٰنِ الرَّحِیم اسلام علیکم ( یا علی مدد) یہ بلاگ فروغِ عزاداری کے مقصد سے اور نوحوں کے (lyrics) کے لیے بنایا گیا ہے تمام مومنین سے خصوصی دعاؤں اور تعاون کا طلبگار ہوں۔ "Faroogh e Azadari"