Mara Hai Fatima Ko Sab Ny Rula Rula Kar
Zahra Ka dar Jala kar Zahra Py dar Gira Kar
1) Turbat sy Fatima ki Aati Yehe Sada Hai
Pahlu sy Hath Mera ab Tak Nahi Hata Hai
Mehdi Mujhy Sambhalo Gaibat sy Jald a Kar
2) Darbar sy Zaeefa Ghar ki Taraf Chali Hai
Allah hi Janta Hai Kitni Dafa Giri Hai
Laye Hain Apny Ghar Tak Hassnain Khud Utha Kar
3) Zalim Ka Taziyana Jis Hath Par Laga Hai
Wo Hath Fatima Ka Uth hi Nahi Raha Hai
Parhti Hain ab Nimazain ik Hath hi Utha Kar
4) Pahlu main dard itna hai k tarap rahi hai
Chalna b ab hai mushkil uth uth k gir Rahi Hai
Chalti hai aik Shana deewar sy laga Kar
5) Kah k yateem khud ko Shabeer jab k roye
Do hath Fatima k bandhy kafan sy nikly
Seeny py roi apny Shabeer ko sula Kar
6) Manzar bara kathin tha jis Dam laga tamacha
Sir bint e Mustafa Ka deewar sy laga tha
Moo peet,ty thy Haider ankhon sy khon baha Kar
7) Hilny laga nabi Ka us dam mazaar aasi
Zahra lehad py aa kar ro ro k jab pukari
Chahry k Neel daikho Baba rida hata kar
Poetry :- Muhammad Irtiza Aasi
Reciter :- Amanat Ali and Ghulam Abbas (Sonu Monu)
Comments
Post a Comment